PakistaniUrdu

AAZMA LE

AAZMA LE Lyrics By , 2022. Best , Song AAZMA LE Lyrics in Hindi & English Originally Released on YouTube. AAZMA LE Song Sung By Popular Singer Young Stunners, Lyrics Of This Song Are Written By Bilal Ali, Zahid Qureshi. AAZMA LE Full Song Lyrics By Young Stunners. We Offer Amazing , Songs Lyrics Only on WoLyrics.com

AAZMA LE Song Young Stunners Details

Vocal/Singer
Lyricist Bilal Ali, Zahid Qureshi
YouTube video

AAZMA LE Lyrics Young Stunners

Khud Se Bhi Mila Karein..
Sir Utha Ke Chala Karein..
Khuda Ke Tareeqe Hum Nahi Samajh Sakte,
Hum Ussey Kya Gila Karein?

Duniya Sang-dil,
Banti Meri Dushman..
Hum Kam-az-kam Khud Se Hi Sulah Karein..

Kam Bola Karein,
Zyada Suna Karein..
Rab Deta Hai Maafi,
Phir Gunaah Karein..

Yeh Taaqat Thikane Badal Sakti,
Qalam Ki Taaqat Takhat Bhi Palat Deti..
Likhaari Jaan Leva Hoon, Par,
Likhaai Hi Roz Ab Jeene Ka Sabab Deti..

Warna Zindagi Mauqe Toh Kam Deti,
Mehfilon Mein Toh Raunak Bhi Humse Thi..
Idhar Hustle Karte-karte Poora Din Gaya..
Urdu Rap Main,
Urdu Rap Mere Bin Kya?

Facts Hain Yeh, Flex Nahi..
Mujhe Ghalib Jaisa Likhne Ka Faiz Nahi..
Woh Habeeb Hain Mere Toh Mujhse Door Kyun?
Woh Hareef Hain Mere Toh Unki Khair Nahi..

Aajkal Bhejein, Mujhe Text Sab
Whatsapp, Pe They Wanna Know What’s Up
Meri Zindagi Kitno Ki Hasrat..
Main Misaal,
Mera Naam Lete Maslan..

Dil Phenk Ke Na Dil Tod,
Billboard Pe Ab Dikhe Shakal Inko..
Mera Bank Balance Lagta Tha Pin Code,
Ab Safar Dekh Sirf Sifar Gin Tu..

Ayy, I Belong Here,
Jaane Ka Mood Nahi Hai..
Headliners Hum,
Teri Koi News Nahi Hai..

Kya Woh Sunte,
Par Karte Mehsoos Nahi Yeh..
Waade Toote,
Par Tootein Asool Nahi Yeh..
Jo Bhi Hustle Thi,

Gayi Woh Fazool Nahi Hai..
Lekin Duniya Toh Faani Hai,
Bhool Nahi Yeh..

Hum Fana Huye Iss Fanoon Ki Khaatir..
Pagalpan Ki Had Tak Junoon Bhi Hai..

Tum Sub Rakh Lo,
Main Shab Rakhta Hoon..
Main Jalwa,
Jalaal Aur Karb Rakhta Hoon..

Iss Hi Dil Mein Rakhta Hoon Dard Apno Ka..
Dil Ka Ek Khana Ab Sard Rakhta Hoon..

Zaroorat Aur Khwahish Mein Farq Rakhta Hoon..
Hisab Se Lafzon Mein Harf Rakhta Hoon..

Dildaar Hoon Main Bada,
Par Dil-shikasta Hoon..
The Joke Is On You,
Main Tum Pe Hasta Hoon..

Sehma Tha Dil,
Par Tha Yaqeen..
Ladkhadate Qadam,
Par Rasta Wahi..

Syahi Mein Doobi Zindagi,
Toh Seekha Udna Tabhi..

Aazma Le, Zakhmon Ko Tu Apna Le,
Mashal Tu Dil Ki Jala Le,
Dekhegi Dunya Sabhi..

Aazma Le, Zakhmon Ko Tu Apna Le,
Mashal Tu Dil Ki Jala Le,
Dekhegi Dunya Sabhi..

Baatein Yeh Mukhtasar,
Main Karta Raha Mustaqil..
Nahi Hote Mushtamil,
Kahani Yeh Mukhtalif..

Yeh Khwaab Huye Muntaqil,
Kagaz Mushta’il..
Urdu Rap Aur Main Uska Dil,
Munafiq Jo Munfa’il

Log Muntazir The Iss Qadar,
Phir Kis Ka Dar?
Hum Muntakhab,
Sab Muntashar Jab Chunte Lafz..

Ab Sunte Sab Yeh Khush-khabar,
Jo Bad-nazar Woh Darguzar..
Yeh Dhun Pakad, Kyun Besabar?

Kyun Be-asar?
Tu Le Sabaq..
Ab Befikar Yeh Sher Arz,

Motabar Hon Beshtar..
Ho Der Jab Toh Be-adab,
Yeh Khel Ab Lagta Na-mumkin..

Main Aur Mere Khwaab,
Jeena Chahta Hoon Main Khul Ke
Qalam Yeh Aazaad,
Yahan Nizaam Saare Ulte
Lagi Jaise Aag,
Sheher Baarishon Mein Dhulte

Dil Mein Ho Dard Jab Yahan Kalakaar Rulte,
Zindagi Paheli,
Boojho Jaano Kitne Uljhe..

Andhere Mein Chiraag Jaise Hi Yeh Lehja Sulge,
Kate Mere Par,
Phir Bhi Jaane Kaise Udte..

Mujhe Udne De,
Toote Jo Dil Woh Aaj Judne De..
In Aankhon Ko Khushiyon Se Bharne De,
Alfaaz Mere Dil Mein Utarne De..
Manzil Toh Khush Ho Theherne Pe..

Yeh Ghar Mera,
Jad Ko Na Marne Dein..
Ubhrenge, Sooraj Yeh Dhalne De.
Waqt Lage Khud Ko Badalne Mein..

Magar Waqt Yeh Badalta Hai
Safar Yeh Taveel Beshak,
Nange Pair Chalta Reh..
Chubhe Bade Qeel,

Khuda Zakhmon Ko Bharta Reh..
Khud Pe Yaqeen Hai Toh Zamaane Se Ladta Reh

Tha Hi Na Kuch Khone Ko,
Har Gully, Har Ek Kone Ko
Main Karta Hoon Mutaasir Apni Baaton Se,
Chal Hone Do..

Jo So Rahe The, Sone Do,
Main Likhne Baitha Paune Do..
Raatein Na Mili Sone Ko,
In Khwabon Ko Pirone Do..

Dekha Tha Jo Kal Woh Toh,
Jee Raha Hoon Aaj Main..
Likhe Asal Haadse,
Saare Bane Hain Khaak Se..

Jaana Hai Hum Ne Khaak Mein,
Yeh Ilm Mera Baant De..
Nahi Koi Bade Baap Ke,
Hai Faqar Apne Baap Pe..

Aaj Bhi Iss Shayari Mein Saadgi..
Jazbaat Bhi Aur Yeh Ehsaas Bhi,
Hai Sabar Ka Phal Meetha Aaj Bhi..
Yeh Hunar Dilon Ki Awaaaz Bhi..

Sehma Tha Dil, Par Tha Yaqeen,
Ladkhadate Qadam, Par Rasta Wahi..
Syahi Mein Doobi Zindagi Toh Seekha Udna Tabhi..

Aazma Le, Zakhmon Ko Tu Apna Le,
Mashal Tu Dil Ki Jala Le,
Dekhegi Dunya Sabhi..

Aazma Le, Zakhmon Ko Tu Apna Le,
Mashal Tu Dil Ki Jala Le,
Dekhegi Dunya Sabhi..

Check Also
Close
Back to top button