Pakistani

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics By , 2022. Best , Song Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics in Hindi & English Originally Released on YouTube. Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Song Sung By Popular Singer Ali Jee, Ali Shanawar,Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Full Song Lyrics By Ali Jee, Ali Shanawar. We Offer Amazing Songs Lyrics Only on WoLyrics.com

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Song Ali Jee Details

Vocal/Singer ,
YouTube video

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics Ali Jee, Ali Shanawar

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Mera Nana Nabi
Meri Maan Sayeda
Mera Baba Ali
Mera Bhai Hasan
Hum Hi Hain Panjatan

Meri Kya Hai Khata

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Kiya Main Zehra Ka Jaya Nahi Hun
Kiya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Mery Nana Ny Kalma Sikhaya
Aur Quran Tum Ko Sunaya
Kya Main Nana Ka Saya Nahi Hun
Kiya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Woh Madina Jahan Mera Ghar Hai
Aur Masjid Mein Us Ghar Ka Dar Hai
Kya Main Us Ghar Mein Khaila Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Chakian Pees Kar Maan Ny Pala
Mujh Ko Nana Ny Jhoola Jhulaya
Apna Bachpan Main Bhoola Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Kamli Waly Ky Lab Choomta Tha
Kitna Pyara Mera Bachpana Tha
Kya Main Un Ka Dulaara Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Main Jo Pani Kabhi Mangta Tha
Kiun Tarhapti Thi Maan Ab Main Samjha
Paas Asghar Ky Jata Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Main Jo Chahun Baras Jayen Baadal
Khoon Mein Dooba Nazar Aaye Maqtal
Jang Karny Main Aaya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Ik Sada Thi Yeh Rehan O Sarwar
Keh Rahy Thy Hussain Ibne Haider
Kya Main Mehmaan Aya Nahi Hun
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun

Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Check Also
Close
Back to top button