Urdu

Milad Rahega

Milad Rahega Lyrics By On Heera Gold 2022. Muhammad Farhan Qadri's Best Song Milad Rahega Lyrics in Hindi & English Originally Released on YouTube. Milad Rahega Song Sung By Popular Singer Muhammad Farhan Qadri, Music Composed By Waseem Ansari, and Lyrics Of This Song Are Written By Waseem Ansari. Milad Rahega Full Song Lyrics By Muhammad Farhan Qadri. We Offer Amazing Songs Lyrics Only on WoLyrics.com

Milad Rahega Details

Vocal/Singer
Music Comsposer Waseem Ansari
Lyricist Waseem Ansari
YouTube video

Milad Rahega Lyrics Muhammad Farhan Qadri

Marhaba
Ya Nabi….
Ya Nabi….
Ya Nabi….

Noor-ul-Huda ….Marhaba
Shams-ud-Duha .Marhaba
Badr-ud-Duja …Marhaba
Sadr-ul-Ula. ….Marhaba

Ye Jahañ Rahega Jab Tak
Milad Rahega Tab Tak.

Aaqa Ka Jashn Manayenge
Roko ge Hameñ Tum Kab Tak.

Ye Jahañ Rahega Jab Tak
Milad Rahega Tab Tak.

Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ
Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ

Sarkar Ki Aamad – Marhaba
Aaqa Ki Aamad – Marhaba
Data Ki Aamad – Marhaba
Maula Ki Aamad – Marhaba
Afsar Ki Aamad – Marhaba

Sab Milkar Bolo – Marhaba
Sab Jhoom Ke Bolo – Marhaba

Parcham Nabi Ka Be-Shak Pahchan Hamari Hai
Aamad Ki Dhoom Machana, Ye Shaan Hamari Hai.

Ham Aaj Haiñ Kal Na Hoñge
Ye Jashn Rahega Abad Tak.

Ye Jahañ Rahega Jab Tak
Milad Rahega Tab Tak.

Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ
Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ

Sun Le Ye Sara Jahañ
Na Ham Raafzi Haiñ Na Ham Khaarji Haiñ
Na Ham Naasibi Haiñ Na Tafziili Haiñ.

Ham Ahl-e-Bai’at Ke Ghulam
Ham Haiñ Sahaba Ke Ghulam
Ham Auliya Ke Ghulam
Aala Hazrat Ke Ham Ghulam.

Seene Me Dil, Dil Me Hai Dhadkan
Dhadkan Se Aati Sada
Bas..

Labbaika Ya Mustafa
Labbaika Ya Mustafa
Labbaika Ya Mustafa
Labbaika Ya Mustafa

Seenoñ Me Ishq-e-Muhammad ﷺ Basaye
Haathoñ Me Aaqa Ka Parcham Uthaye
Paigham Ye De Rahe Haiñ Jahañ Ko
Baatil Na Koi Muqabil Pe Aaye
Hai Ye Hi Nara Wird-e-Zabañ..

Ya Mustafa, Ya Mustafa, Ya Mustafa
Labbaika Ya Mustafa
Labbaika Ya Mustafa
Labbaika Ya Mustafa

Diwana Unka Bankar Rahna Hai Is Jahañ Me
Jashn-e-Mohammad ﷺ Ka Charcha Karna Hai Is Jahañ Me
Jashn-e-Wiladat Manayega
Har Sunni Aakhiri Dam Tak.

Ye Jahañ Rahega Jab Tak
Milad Rahega Tab Tak

Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ
Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ

Bachpan Se Mid’hat Unki Karta Huñ Karta Rahuñga
Maiñ Na Kisi Se Rukuñga Aur Na Peechhe Hatuñga.

Naateiñ Nabi Ki Sunauñga Dam Hai Mere Dam Jab Tak
Ye Jahañ Rahega Jab Tak Milad Rahega Tab Tak.

Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ
Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ

Jashn-e-Wiladat Aaya Hai Dil Se Khushiyañ Manao
Likhe ‘Waseem’ Ne Jo Ash’aar Farhan Wo Sabko Sunao
Ishq-e-Nabi Ki Sham’aa Ko Pahuñchayeñ Aao Sab Tak.

Ye Jahañ Rahega Jab Tak
Milad Rahega Tab Tak

Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ
Ham Miladi, Miladi, Miladi Haiñ

Sarkar Ki Aamad – Marhaba
Aaqa Ki Aamad – Marhaba
Data Ki Aamad – Marhaba
Maula Ki Aamad – Marhaba
Afsar Ki Aamad – Marhaba

Sab Milkar Bolo – Marhaba

Check Also
Close
Back to top button