Pakistani

PASBAAN

PASBAAN Lyrics By On Tanzeel Khan 2022. Best Song PASBAAN Lyrics in Hindi & English Originally Released on YouTube. PASBAAN Song Sung By Popular Singer Hashim Nawaz, Music Composed By Xtacy, and Lyrics Of This Song Are Written By Tanzeel Khan , Hashim Nawaz. PASBAAN Full Song Lyrics By Hashim Nawaz. We Offer Amazing Songs Lyrics Only on WoLyrics.com

PASBAAN Song Hashim Nawaz Details

Vocal/Singer
Music Comsposer Xtacy
Lyricist Tanzeel Khan , Hashim Nawaz
YouTube video

PASBAAN Lyrics Hashim Nawaz

Tu mujhe lagti hai kahani
Dastan mein jo padh saka nahi
Door se dekhon tujhe
Kya khalish mujhe ab tu lapata

Kehti mujhe wo muskura kar
Mange duaen kyun yun gaa kar
Jaana mujhe nahi
Yaad uski bani meri pasban

Jaado woh mujh pe chala bhi gaya
Khawabon mein aa ke sata bhi gaya
Jab aankh lagi thi meri
Shaam ko lambi gehri
Mushkil hai ye jahaan

Jo ab mein saara tere ye naam karon
Khaali kitabon ke panne bharon
Sath nahi thi mere kafi dekhe chehre
Dikh jaaye tum kahaan

Tu thi raazdaan
Na tere siwa koi aur thaa
Dilaye mujhe wo jo honsla
Hai teri yaad meri paasban

Tu jo na raha
Hai mera ye dil ab ghamzada
Jao mein jao ab puhncho kahan
Jo teri baanhein mere paas naa

Tu abhi bhi saamne mere
I’m sorting not figure you out
Hai abhi koshish ke tere khayalon
Se lekar main zikar me aaon

Tu abhi bhi khawab hai mera
Asliyat se door hai lekin
Qabliyat ko dekh hai meri
Main likh chuka kitna tere pe nashe bin

Ab duniya se jhulta main
Khuda hi jaane andaze bayaan ye
Kitna khaas ye
Kya meri ye khata hai
Kya teri yaadon ka galba
Jo hai yahi pyaar hai

Pehchana hai kafi kuch maine
Par abhi bhi teri shakhsiya ik raaz hai
Par teri hai bhool ke betha rahon ga
Or aise hi maanu ga haar main

Hamare darmiyaan mein
Ham jaane kab tak rahein ge nadaan yun
Zamana Sambhale ga hamein
Ya phirta rahe sambhaal ke gham

Keh jaane se jaata hai kitna
Ye jaane ga kaise jo kahe ga nahi
Na khabar hai pal ki
Bas sabko hai jaldi
Sawarne kya kabhi insaan ke rang

Naraz ho duniya tu kya
Bigaar lo apna mein huriya tu kya
Ye spotlight tere tak puhanchne tak hai
Warna dikhna chahta mein duniya ko na

Bas karo tum bhool na pyar
Samandar ko paani ki talab ni hoti
Main kar chuka ab tak har gehri baat
Wo suni usne lekin wapis na boli

Tu mujhe lagti hai kahani
Dastan mein jo padh saka nahi
Door se dekhon tujhe
Kya khalish mujhe ab tu lapata

Kehti mujhe wo muskura kar
Mange duaen kyun yun gaa kar
Jaana mujhe nahi
Yaad uski bani meri pasbaan

Ishq ye mera qabool nahi
Lagta ye tujhko fazool sahi
Chaha tujhe jo khud se barh kar
Meri bhool thi

Main gulshan ka phool wahi
Pankhuri jiski sookh rahi
Kar na duawein meri khatir
Ho barsaat abhi

Tu hai raazdaan
Na tere siwa koi aur thaa
Dilaye mujhko jo honsla
Hain teri yaadein meri pasbaan

Tu jo na raha
Hai mera ye dil ab ghamzada
Jao mein jao ab puhncho kahan
Jo teri baanhein mere paas naa

Back to top button