Pakistani

TALK TO ME

TALK TO ME Lyrics By On Young Stunners 2023. Best Song TALK TO ME Lyrics in Hindi & English Originally Released on YouTube. TALK TO ME Song Sung By Popular Singer Young Stunners, Music Composed By Young Stunners, and Lyrics Of This Song Are Written By Young Stunners. TALK TO ME Full Song Lyrics By Young Stunners. We Offer Amazing Songs Lyrics Only on WoLyrics.com

TALK TO ME Song Young Stunners Details

Vocal/Singer
Music Comsposer Young Stunners
Lyricist Young Stunners
YouTube video

TALK TO ME Lyrics Young Stunners

Talha Anjum:]
Talk to me
Kehde wo dil ki batein jo tu zamane se tou keh na saki
Sunun baith ke ab mein teri
Talk to me
Bata dard-e-dil ke sabab
Ye parde hata de tu ab
Dha de ek aur gazab

Dil mein tufaan utha aur phir tham gaya
Seena cheerta hai seene mein jo dum gaya
Ek hi gali se nikle the mein aur wo
Uske ghar khushi gayi mere ghar ghum gaya
Dho ke zehn mujhse soya nhi jaye
I would cry you were river lekin roya nhi jaye
Meine ird-gird ye deewarein khud hi banayin
Taake mujhe at my lowest koi dekh hi na paye
Ab mujhse bola nhi jaye
But you can’t take me down agar Maula na chahe
Mein 16 se high na koi sulah safayi
Duniya tou jalti hai duniya ka kiya hai
Zindagi sabab bani roz tu kuch seekhti hai
Tu uska ghuroor jisne tujhe takhleeq di hai
Mein seekhta hun ghaltiyon se bhaagta nhi
Mein sogaya hun tujh me ab mein jaagta nhi
Ab tera mera pehle jaisa raabta nhi
Wo raakh ban gaya ke jo ke aag tha kabhi
Bayabaan ban gaya jo baagh tha kabhi
Besaakhta kharhe hain jaise jaan se bhi gaye
Tu roshni thi meri hum tou chaand se bhi gaye
Hum kon hain hum kiya hain hum jaante hi nhi
Ye faisle yak tarfa hum maante hi nhi
Jo dooriyan hain darmiyan wo faaslon se nhi
Talk to me, walk with me
Do qadam that’s all we need you’re safe with me
Mein tere liye dedun jaan apni
Meri nazar se hi mat khud ko tu pehchaan apni and just
Talk to me
Kehde wo dil ki batein jo tu zamane se tou keh na saki
Sunun baith ke ab mein teri
Talk to me
Bata dard-e-dil ke sabab
Ye parde hata de tu ab
Dha de ek aur gazab

[Talha Yunus:]
Badalon pe likh deinge hum naam tera
Nhi jaam pe la apne kaam se ye naam phela
Ashiqi ek wehm liya ghoont tou nuqsan tera
Nadaniyon mein bhooli thi wo naam mera
Log ghalti ko sharab kehte hain
Haqeeqat ko khwab kehte hain
Dinon ko bhi raat kehte hain
Mere zikar ko bhi ab wo gunah kehte hain
Roothe nhi tum badal hi gaye
Toote kahi aur sanwar bhi gaye
Sambhle nhi tum bikharte rahe
Zakhmon ka kiya wo tou bharte rahe
Aja kabhi baat tou kar
Haste ab kyun hum in faaslon par
Aana kabhi sath tou chal
Kon ghalat kon sahi aa hisaab tou kar
Beshak ghalti se hi kabhi yaad tou kar
Mera glass tou bhar thorha barbaad tou kar
Log mere peeche parhe hath dho kar
Mere hunar ka lehaz tou kar
Tell me what you want from me
Akhir kuch bata tou sahi
She don’t wanna talk to me
Ye sab tera shoq tou nhi
Sazayen phir ye baant lete
Khamiyan tou khoobiyon se janch lete
Kaise torhen na deewaarein ye
Tera hi khayal jab bhi saans lete so just
You might also like
Until I Found You
Stephen Sanchez
Gumaan
Young Stunners
Kyun
Talha Anjum
[Talha Anjum:]
Talk to me
Kehde wo dil ki batein jo tu zamane se tou keh na saki
Sunun baith ke ab mein teri
Talk to me
Bata dard-e-dil ke sabab
Ye parde hata de tu ab
Dha de ek aur gazab

Check Also
Close
Back to top button